Vande
Maataram Vande
Maataram, vande maataram Sujala sufala malayaja-shitalaam Shashya-shyaamala
maataram Vande maataram
Shubhra-jyotsna-pulakita
yaamini Phulakusumati-drumadala shobhini Suhaasini sumadhur bhaashini
Sukhada varada maataram Vande maataram
Koti
Koti Kantha Kalakalaninada Karaale Koti Koti Bhujai.rdhritakharakaravale Abalaa
Keno Maa Eto Bale Bahubaladharinim Namami Tarinim Ripudalavarinim Maataram
Tumi Vidyaa Tumi Dharma
Tumi Hridi Tumi Marma Tvam Hi Pranah Sharire
Baahute
Tumi Maa Shakti Hridaye Tumi Maa Bhakti Tomaara I Pratima Gadi Mandire
Mandire
Tvam Hi Durga
Dashapraharanadharini Kamala Kamaladala Vihaarini Vani Vidyadayini Namami
Tvam Namami Kamalam Amalam Atulam Sujalam Suphalam Maataram
Shyaamalam
Saralam Susmitam Bhushhitam Dharanim Bharanim Maataram
****************
Hindustan
Hamara
Saare
jahaan se achha Hindustan hamaara Hum bulbule(n) hai(n) uski Woh gulsitaan
hamaara. Parbat woh sabse uncha Hamsaya a'smanka Woh santari
hamaara Woh pasban hamaara.
Godime(n)
khelti hai(n) Jiski hazaaro(n) nadiya Gulshan hai jinki damse Raksh-I-jinan
hamaara..
Mazhab nahin
sikhaata Aapas main bair rakhna Hindi hain hum watan hai Hindustan
hamaara. *****************
Honge
Kamiyaab
Hum
honge kamiyaab (3), ek din
Ho
man mein hai vishwaas, poora hai
vishwaas Hum honge kamiyaab ek din. Hum chalenge saath-saath Daal
haatho(n) mein hath Hum chalenge saath-saath, ek din Man mein hai vishwaas,
poora hai vishwaas Hum chalenge saath-saath ek din.
Hogi
shaanti chaaro aur (3), ek din Man hai vishwaas, poora hai vishwaas Hogi
shaanti chaaro aur ek din.
Nahi
dar kisi kaa aaj Nahi bhay kisi ka aaj Nahi dar kisi ka aaj ek din Man
mein hai vishwaas, poora hai vishwaas Nahi dar kisi ka aaj ek din.
Hum
honge kamiyaab (3), ek din Ho
man mein hai vishwaas, poora hai vishwaas
Hum honge kamiyaab ek din. ********************
Rashtriya
Jhanda Abhinandan Vijayi
vishwa tiranga pyaara Jhanda uncha rahei(n) humara Sadaa shakti sarsaane
waala, Prem sudha barsaane waala, Veero ko harshaane waala,
Maatru
bhoomi ka tan-man saara, Jhanda uncha rahei(n) humara.
Swatantra
ke bheeshan run mein, Lakhkar josh badhein kshan-kshan mein, Kaape
shatru dekh kar man mein,
Mit
jaye bhay sankat saara Jhanda uncha rahei(n) humaara.
Is
zande ke neeche nirbhay, Rahei(n) swaadheen hum avichal nishchay. Bolo
Bhaarat maata ki jay.
Swatantrata
ho dhyey humara Jhanda uncha rahei(n) humaara.
Aao,
pyaare veero! Aao; Desh- dharm par bali-bali jao Ek saath sab mil kar
gaao,
“Pyaara
Bhaarat desh humaara, Jhanda uncha rahei(n) humaara.
Iski
shaan na jaane paaye, Chaahei(n) jaan bhale hi jaye, Vishwa vijay karke
dikhlaaye,
Tab hove
praan poorna humaara Jhanda uncha rahei(n) humaara, Vijayi vishwa tiranga
pyaara. *******************
Vah
desh kaun sa hai? Manmaohini
prakruti ki jo godh mei(n) basaa hai, Sukh swarg-sa jahaan hai, vah desh kaun
sa hai? Jiske charan nirantar ratnesh dho raha hai, Jiskaa mukut himalaya,
vah desh kaun sa hai? Nadiya(n) jahaan sudha ki dhaara ban rahi hai, Seecha
huva salona, vah desh kaun sa hai? Jiske bade rasile, phal-kandnaaj-meve,
Sab ang mei(n) saje hai, vah desh kaun sa hai?
Jisme
sugandh waale, sundar prasun pyaare, Din- raat hus rahei(n) hai, vah desh
kaun sa hai? Jiske anant dhan se dharti bhari padi hai, Sansaar ka shiromani,
vah desh kaun sa hai?
Sabse
pratham jagat mei(n) jo sabhya tha yashaswi, Jagdish ka dulaara, vah desh
kaun sa hai? Prithvi nivaasiyon ka jisne pratham jagaaya, Shikshit kiya,
sudhaara, vah desh kaun sa hai?
Jismein
huve alokik, tatvagna brahmagyani, Gautam, Kapil, Patanjali, vah desh kaun
sa hai? Chhodo swaraaj trunavat, aadesh se pita ke, Vah Ram the jahaan
par, vah desh kaun sa hai?
Nihswaarth
shudh premi bhaayi base jahaan the, Laxman Bharat sarikhe, vah desh
kaun sa hai? Devi pavitrata ki Sita jahaan huyi thi, Mateshwari jagat
ki, vah desh kaun sa hai?
Aadarsh
nar jahaan par the bal-brahmachaari, Hanuman, Bhishma, Shankar, vah desh kaun
sa hai? Vidwan, veer, yogi, guru raajnitiko ke Shrikrishna the jahaan
par, vah desh kaun sa hai?
Vijayi,
bali, jahaan ke, bejod surma the Guru Dron, Bheem, Arjun, vah desh kaun sa
hai? Jisme daadhichi daani, Harishchandra, Karna, se the, Sab log ka hiteshi,
vah desh kaun sa hai?
Pachpan
karod jan hai, sevak saput jiske, Bhaarat sivay dooja, vah desh kaun sa hai?
****************** |
| |